5G aur 5GHz WiFi – Dono “5” hain, magar farq zameen asmaan ka!
Aksar logon ko confusion hoti hai ke 5G aur 5GHz WiFi dono same cheez hain — kyun ke dono mein “5” ka lafz aata hai. Lekin asal mein ye do mukhtalif technologies hain jin ka aapas mein koi seedha ta’alluq nahi.
Aaiye is blog mein asaan alfaaz mein samajhte hain:
📱 5G Kya hai?
5G aik mobile network ka naya version hai — jaise pehle 3G aur 4G the. Ye mobile signal ke zariye internet provide karta hai:
- Zyada fast speed (up to 10 Gbps tak)
- Low latency (gaming aur live stream ke liye behtareen)
- Mobile devices ke liye design kiya gaya (phones, 5G routers waghera)
- Mobile SIM card chahiye hota hai
- 5G towers se signal milta hai
Yeh technology Telecom companies (Jazz, Zong, Telenor, Ufone waghera) provide kar skti hain filhal pakistan me 4G 4G+ chal raha ha.
📡5GHz WiFi Kya hai ?
5GHz ek WiFi frequency band hai jo aapke ghar ke router se aata hai. WiFi routers do major bands use karte hain:
- 2.4GHz: Door tak signal jata hai, lekin speed kam hoti hai
- 5GHz: Speed zyada hoti hai, lekin signal range kam hoti hai
5GHz WiFi ka 5G mobile se koi ta’alluq nahi. Yeh sirf router ke andar hoti hai aur SIM ka zarurat nahi hoti.
📊 Short Comparison Table
Feature | 5G Mobile Network | 5GHz WiFi |
---|---|---|
Kya hai? | Mobile network | WiFi frequency band |
Kahan se aata hai? | Telecom tower | WiFi router |
SIM chahiye? | Haan | Nahi |
Speed | Bohat zyada (4G se tez) | Zyada (2.4GHz se tez) |
Range | Wide area | Kam (walls rok leti hain) |
Kya mobile pe chalta? | Haan | Haan (WiFi se) |
Interference | Kam | Zyada (ghar ke andar) |
❓ Aam Log Kyun Confuse Hote Hain?
Log aksar samajhte hain ke:
- “5GHz WiFi = 5G Internet” – Jo ghalat hai
- Dono fast hain, is liye same lagte hain
- “5” ka lafz dono mein aata hai
Is liye zaroori hai ke awareness di jaye ke ye do alag technologies hain — ek SIM-based network hai, doosra WiFi band.
📍 5GStore.pk ka Mashwara
Agar aapko 5G support wala router chahiye to wo SIM-based 5G router hoga — jaise Huawei N5368x Cpe Max, Brovi h155-381, ZLT x20 / x28 ya Aurora C082 5G.
Agar aapko sirf WiFi speed improve karni hai to dual-band router lein jisme 2.4GHz aur 5GHz dono hoon — jaise Huawei XD20, TP-Link Archer AX series,D-Link Models etc.
🛒 Aakhri Baat:
To agli dafa jab aap kisi se “5G router” ya “5GHz WiFi” ki baat karein, to yaad rakhein:
5G ek mobile network hai.
5GHz ek WiFi signal hai.
Dono ka faida hai — magar apne kaam ka router lene se pehle ye samajhna zaroori hai ke aapko kis cheez ki zarurat hai.
Aapka apna,
Team 5GStore.pk
🛍️ Pakistan ka reliable SIM aur WiFi router store